Thursday, 11 July 2013

Mann

Ajeeb sa haal tha..
Mann Mein shararat bhari thi par phir bhi mathe Mein shikan thi
Udna toh chahta tha dil..
Par najane tera mann kaunsi uljhan Mein duba tha
Hoot toh puuchna chahte thee Kai sawaal
Par Ruke huyein thee tere Hoton ke ishaaron ke liye 
Hawaa ke jhoke mere baalon ke Saath khelna chahte thee 
Par hawaa tham si gayi Taki teri Nazar ek baar mujh par pad jaye
Baarish ruk ruk kar gir rahi thi, woh bhi intezaar Mein thi ki kab mujhe dekhar tu muskuraye
Laga jaise ankahi baatein ansuni hi reh jayegi
Phir jaate jaate meri aankhon ne teri aakhon Mein mujhe dhund hi liya
Aankhein meechi, toh wahin Paya khud ko
Ajeeb sa haal tha
Tu toh bekhabar tha inn baton se, par tera Mann toh sab samajh gaya tha
Bas thakha tha woh waqt ke paiyoon se
Ab sab lagey hain tere Mann ke haal ko badalne Mein 
Aankhein kholi toh bheeg rahe the hum tum ped ke Saaye Mein
Hawaa naachti huyi baalon ke beech se guzri toh 
Tere Saath baatein kar kar ke hooton ne sawaalon ko toh bhuula hi diya
Mann phir masti Mein khwaashion ki udaan bhar liya
Socha humne ajeeb sa haal thaa
Par kyun haal ko kosein jab Shayad Mann khudi ka kharaab tha




No comments:

Post a Comment