Saturday 21 April 2012

Kaun ho tum?



Kaun ho tum?
Ek sapna ya meri soch…
Tum woh kirdar ho jisse nahi kabhie maine likha aur nahi kabhie maine mehsoos kiya....
Aakhir kaun ho tum?
 kyun tumse milkar mujhe laga ki mein kitni akeli thi.
Naajane kyun jab tumse baat karti huun toh aisa lagta hai ki mein apne mann se baat kar rahi huun
Tumhare saath toh aansun bhi dard ki nahi khushi ki bhaasha bolte hain…
Kaun ho tum?
Meri parchayi ya mera ehsaas
Kyun tumhare hone se mushkil bhi aasman mein kahin duur chupe huye tare jaisi lagti hai   
Mujhe nahi pata tum sahi ho ya  galat…
Tum sachh ho ya jhoot
Tumhe khone ke darr se toh ab mausam bhi badalne se ghabrata hai…kahin uske badalne se tum rooth kar chale na jao….
Kaun ho tum?
Ab iss sawal se hi bhaag rahin huun mein
Kyunki apne dil se bhala thodi koi puchta hai ‘kaun ho tum’.