Khwaashion
ke iss jahan mein
Kuch aadhe
kuch pure khwaab sajayein
Kabhie
pislein aur kabhie tej raftaar se
Kadam ko bewkoof
banakar masti mein chalayein
Dil ka haal
jo bhi ho..hassi ko ek dusre se udhar lekar
Pyar ke
takiye par aansun tapkayein
Kal ke taale
ko chodkar aaj ki chabi dhunde
Aur Haaton
se tali bajakar dhun kuch nayi banayein
Gum ka
batwaara karke kabhie tera kabhie mera pet bharlein
Takdeer ko apni
mila kar zara pairon ko felakar sapnon ka mazza le lein
Roz udte udte apne pankhon ko tez hum banayein
Kabhie
shakar kabhie bina shakar ki chai ki chuski se din ko kuch khaas banayein
Gusse ko
chappal banakar ghis de usse bhi chalte chalte
Bachpan ki
yaadon se tasveer ek nayi banayein
Harkaton se
apni pagalpan ki aadatein dal lein
Khuli
aankhon mein bhi nasha kuch aisa dal lein
Bhul jayein
hum apne aap ko kuch aisa aashiyana hum banaye
Khwaashion
ke iss jahan mein
Kuch aadhe
kuch pure khwaab sajayein
Chal apne
aiynee ko ek duusre ke sayyein se hum sajayein
No comments:
Post a Comment