Saturday 8 June 2013

Parchai sa tu

Parchai sa tu
Kabhie duur toh kabhie paas
Kabhie tujh Mein samaun Toh kabhie tu mujh Mein
Tanhayi bhi tujhse chupi nahi
Naahi muskurahat meri
Sochti rahi haath kyun na thaame kabhie tu mera
Phir laga Haath kaise thaamega jab tu mujh Mein hi hai basa
Sochti ki Baatein jab kahuun tujhse saari
Na jaane kyun Lagta pehle se hi tujhe hai sab Kuch Pata
Hassi aa gayi Soch kar ki kyun Har pal tujhe dhuunti rahi
Kyun ki tu toh Har pal thaa mujh Mein hi chupa
Jaisa tu hai, waisi hi nazaar Aati huun Mein
Kya karun ab Parchai jo ban gaya hai tu meri 



No comments:

Post a Comment